Skip to main content

3 sabse hatke inspriational aur motivational stories in hindi

     
3 best inspriational and motivational stories
motivationa aur inspriational stories



        doston hamare jeewan me alag alag samay aata hai her baar samay hamare sath nahi hota hai. sabhi logon ki zindgi me paristhiti alag alag hoti hain.  koi un paristhiti se ladkar safalta pa lete hain. duniya me kai ese log scientist aur vidwan hue hain jo apni paristhiti se  ladkar safalta prapt ki hai. jaise albert aainstien, a. p. j abdul kalam. albert aainstien ek samay me math ka m tak nahi jaante the. aage chalkar wo duniya ke itne bade scientist bane aaj puri duniya unhe jaanti hai. abdul kalam ne apni garibi se ladkar safalta prapt ki issi tarah duniya me kai log ese hue hain jinhone apne hauslo ke dam par safalta prapt ki hai aur inki stories humein inspired aur motivate karti hain. isi tarah swami vivekanand jinhone puri duniya me  bharat ka naam roshan kiya. aaj hum iss tarah ki inspriational aur motivational stories bata rahen hain.


1. billi ka baccha -motivational story.


           ek baar ek bahut bade scientist the. unke ghar par ek billi pali hui thi. ek din uss billi ke baccha hua. suru me wo baccha chal nahi pata tha. baad me wo baccha jab chalne laga tab wo billi aur uska baccha ghar ke bahar nikal jaate the par raat ko jab ghar ke gate band ho jaate the tab wo ghar ke bahar nahi nikal pate the. tab uss scientist ne iske liye ek upaay socha. usne apne naukar se kaha  jo ki anpad tha ki tum aaj iss gate me do jagah kar do ek choti jagah jisme se billi ka baccha raat ko gate band hone par ghar se bahar nikal sake aur ek badi jagah billi ke liye jisme se wo bhi raat ko aaram se nikal sake. tab uske naukar ne kaha ki sir me anpad hoon aur aap esa kyon keh rahe hain me nahi jaanta hoon. aap duniya ke itne bade scientist hain. par main aapse ek baat kehna cahta hoon ki billi aur uske bacche ke raat ko bahar nikalne ke liye gate me do jagah karne ki kya zaroorat hai agar hum gate me ek itni jagah kar de jisme se billi nikal sake aur jisme se billi nikal sakti hai usi jagah me se uska baccha bhi aaram se nikal sakta hai. uski baat sunkar wo scientist sochne lage ki itni si baat mere dimag me kyon nahi aayi.


Moral-  hamare liya sabki salah zaroori hai kai baar humse chote bhi humien badi salah de sakte hain jo hum soch nahi pate hain.

2. safalta ka raaz -motivational story


         ek baar ek bahut bade vidwan se ek aadmi ne poocha ki safalta ka raaz kya hai tab unhone uss aadmi se kaha ki tum kal mujhse mere aashrm me aakar milna. agle din wo aadmi unke aashrm gaya aur unse mila tab wo vidwan uss aadmi ko ek taalab  ke paas le gaye ab uss aadmi ne unse phir poocha ki aap mujhe safalta ka raaz batayen. tab uss vidwan ne uss aadmi ko pakadkar uss taalab me dooba diya aur bahut der tak use paani me dubaaye rakha kyonki wo vidwan healthy the iss wajah se wo aadmi apni puri takat lagane ke baad bhi baahar nahi nikal saka bahut der baad uss vidwan ne uss aadmi ko pani se baahar nikala aur wo aadmi pani ke baahar nikalne ke baad jaldi jaldi sans lene laga phir tab uss vidwan ne uss aadmi se poocha ki jab tum paani ke ander the tab tum kya soch rahe the. tab uss aadmi ne unhe bataya ki uss samay me sirf sans lena chata tha. me uss samay kuch nahi soch paa raha tha. tab uss vidwan ne uss aadmi ko bataya ki yahi hai safalta ka raaz.  jab aapko aapki safalta ke alawa kuch aur nahi dikhayi deta hai. jab aapka dimag aapki safalta ke baare me har samay sochta hai aur jab aapke liye aapki safalta se bada aur kuch nahi hota hai tab aap safalta ki or aage badhte hain. yahi safalta ka raaz hai.


moral-  safalta sirf sochne aur uske baare me jaanne se nahi balki lagatar mehnat karne par milti hai.


3.  aakhri pariksha -motivational story.



       ek baar guru apne sisyon ko siksha de rahe the. tab unhone apne do sisyon se kaha ki aaj tumhari siksha puri ho gai hai. ab tak maine tumhe jo bhi sikhaya hai use kabhi mat bhoolna. meri di hui siksha hamesha tumhaare kaam aayegi. isi liye me tumhaare gyan ko jaanne ke liye aaj tumhe aakhri pariksha de raha hoon. dono sissay ye sunkar khus hue. unhone apne guru se kaha ki hum hamesha aapke diye hue gyan ke anussaar hi apna sara kaam karenge. ab aap humien koi bhi pariksha de sakte hain. tab guru ne un dono se kaha ki tumhe jungal me jaana hai aur wahan jakar tumhe swadist bhojan banana hai. aur kal me aakar tum dono ke bhojan khaunga aur jiska bhi bhojan adhik swadist hoga wahi iss pariksha me vijeta hoga aur tum dono ko alag alag dishaon me jaana hai. dono sisyo ne apne guru ki baat maani aur dono alag alag dishaon me chale gaye. ab dono beech jungal me aa gaye ab dono ne socha ki yahan hum apna bhojan bana sakte hain. ab dono ne socha ki guru ne humein bhojan banane ki samagri to di hi nahi. ab hum bhojan kaise banaye. pehla sisay saare din yahi sochta raha ki bhojan kaise banaye. ab kal guru se kahenge ki aapne samgri to di nahi me bhojan kaise banata. ab dusre  ne socha ki kuch to karna hai ab wo jungal me aur andar gaya aur wahan se use bhojan banane ke liye kuch samgri aur kuch lakdiyan mil gayi. ab use raat ho gayi thi. ab usne bhojan banane ke liye ek kisi tarah se koi bartan prapt kar liya ab usne pathar ke tukdo se aag jalayi aur wo jo samgri laya tha usse usne kisi tarah apna bhojan banaya. agli subah jab guru dono ke paas gaye tab sabse pehle sisay ne guru se sikayaton ki line laga di ki aapne humein bina samgri ke bhojan banane ke liye jungal me bhej diya ab hum bhojan kaise banate aur samgri na hone ke karan me bhojan nahi bana saka. ab guru dusre ke paas gaye to usne guru se bina kisi sikayat ke unhe wahan bhojan karaya aur guru ne kaha ki tumhara bhojan swadist hai par tumne bina samgri ke ye kaise banaya tab usne kah maine sirf aapke diye hue gyan ke anusaar sirf kuch na kuch karkar samasya ka hal nikalne ki kosish ki.


moral-  samasya ki sikayat karne wale se samasya ka samadhan nikalne wala bada hota hai aur har samsya ka hal bhi samasya ke aas pas hi hota hai bas us par dhyan lagane ki zaroorat hai.

must read- albert Einstein ki motivational story

   must read-   haati ki rassi best motivational story


Ye hain kuch inspirational aur motivate karne wali stories.

Comments

Post a Comment

Popular posts from this blog

50 most motivational quotes in hindi|latest quotes in hindi.

50 amazing  inspirational Quotes swami vivekanand quote          dosto humien aage badne ke liye motivate karne ke liye successful  aur mahan logon ke inspriational quotes aur unke anmol vichar hamare jeewan me ek important role  play karte hain. issi liye mahan logon ke kuch inspirational quotes aur unke vichar read kare.         latest #inspriational quote no.1                                                         work " apne jeewan parivartan ke liye turant kaam karna suru kar do aur shander tarike se ise karen".                                     most #motivational quote no.2                                      dosti "apne dost ko uski galti batana dosti ki sabse kathin pariksha hoti hai".                  #latest inspriational quote no.3                   " Cheeti se accha updesak koi nahi wo kaam karte hue chup rehti hai".               best inspriational quote no.4 " aap sagar ko kabhi paar nahi kar pa

albert Einstein biography in hindi for students.Einstein childhood and schooling.

albert Einstein biography in hindi for students.  Albert aainstien           doston jab hum par koi samasya aati hai  tab  uss samay humein khud ko prove karne ka mauka milta. Iss mauke par jo cauka maar deta hai wahi safal ho jaata kyonki har samasya jab aati to wo apne sath ek pariksha lekar aati hai aur humein uss test me paas hona hota ha. wo samasya humien todne ki kosish karti hai aur koi usme bikhar jaata hai aur koi nikhar jaata hai. hum sabhi ke jeewan me problems to aati hi hain  aur har problem humein kuch na kuch sikha kar jaati hai. iss bheed bhari duniya me agar aapko alag banna hai to aapko kuch alag karna padega  ek din kuch banne ke liye aapko har din kuch na kuch alag karna padeg. jitna aur log kar rahe hain agar utna hi aap karte ho aapko bahut heavy competition milega. is liye aapko safalta ke liye extra hardwork karna hoga.           "There is no short cut of success"        Iss tarah ki inspriational or motivational story r